Kisi bhi number ki information aur details jane name k sath

Friends, aajkal humare mobile phone pe wrong numbers aur fake calls aate hi rehte hai. To hume sawdhan rehna chahiye. Sabse pehle hume uss mobile number ki details aur jankari hona jaruri hai. Isiliye iss post se me aapko sikhaunga k kisi bhi number ki information kaise prapt kare name k sath. Dosto mobile number ki jankari jese name, location jaan jaye to hume lagbhag andaja ho jata hai k phone karne wala koun ho sakta hai.

Phone karne wale ki jankari kaise hasil kare ?
Issiliye mobile number ki jankari pane k liye mene ye trick aapse share ki hai. Isse phone karne wale ka pata lagaya jaa sakta hai.
Ajka jo trick hai wo hai TRUECALLER app ya website ki madat se mobile number ki details pata karna. To, aap number ko search karne k liye truecaller ki website ka ya app ka bhi istemal kaar sakte hai. App ko install karne k liye Playstore pe jaye aur install kare.
Install karne k baad aap uspe koi bhi mobile number jiska information janna hai use search kar sakte ho. Search karne k baad aapko us phone number se related owner ka name aur location pata laag jayega. Kabhi kabhi to owner ki email id bhi dia huwa rehta hai.
But, mere hisab se Truecaller ki website se koibhi number ki information nikalna jyada asaan hai. Isiliye me aapko Truecaller website se number ki details nikalna sikhaunga.
Truecaller website se mobile number ki details jane
Friends, agar aap bhi wrong aur fake call se pareshan hai ? kya aap bhi inn mobile number ki details pata karna chahte hai ? agar han to niche diye process ko follow kare aur janiye caller ki information name k sath.
Sabse pehle aapko Truecaller ki website pe jana hai jo hai https://www.truecaller.com
Aab aapko ek box dikhega jaha mobile number dalna hota hai. Is box pe wo number type kare jis number ki details aapko chahiye.
Number ko type karne k baad right pe search button pe click kare.
Click karne k baad aapko ek box dikhega. Iss box pe aapko apne google ya windows account se login karne k liye kahega. Simply SING IN WITH GOOGLE ka option select kare. Iske baad aapko apna gmail id aur password dalna hai. That’s it, login hone k baad aapko search kiye huwe mobile number ki details aur jankari mil jayegi.
That’s it, login hone k baad aapko search kiye huwe mobile number ki details aur jankari mil jayegi. Details me aapko no. ki location, operator, owner name aur kabhi owner ki email address bhi mention rehti hai.

Kisi bhi mobile no. ki jankari truecaller ki madat se.
To hai na kamal ki trick mobile no. ki details janne k liye. Aab koi bhi aapko pareshan kare to is process se aap uski name aur location jaan paoge. Yane kisi unknown mobile number ki details nikalna aapke liye aab bohot hi asan hai.
Truecaller android app kyu jyada behtar hai ?
Truecaller website se jyada log iske android aap ko istemal kyu karte hai kya aap jaante hai ? Kyuki agar aap apne smartphone pe truecaller ki app install karenge to koi bhi call ate samai aapko caller ki details dikh jayegi.
Iska matlab aapko number ko copy karke website pe jake search karne ki jarurat nahi paregi. Jo bhi phone call aapke mobile pe ayegi uski details aapko call ate samai nazar aa jayegi. Isiliye Truecaller app aajkal bohot jaruri hai.
Agar aap Truecaller aap ko apne mobile pe install karna chahte hai to ise playstore se download kare. Download truecaller app
App ko install karne k baad simply open kare aur register kare. Register hone k baad sabhi features aapke mobile pe activate ho jayegi.
Iss app ki aur ek khas baat ye bhi hai k agar aap kisi bhi number ko block karna chahe to bari asani se kar sakte hai. Unknown no. ho ya saved contacts bas app ki block list pe number ko save kare aur tension free rahe.
Other websites mobile number ki information ya details k liye
Friends, Truecaller to best hi hai unknown number ki details dhundne ke liye but aur bhi bohot se online websites he jo aapki madat kar sakti hai. Niche mene kuch websites ki list di hai jinse aap no. ki service provider aur location jaan sakte hai.
- Internet4mobile.com
- Tracker.mobileringtonesstore.com
- Bharatiya mobile
- India trace
Upar diye sabhi website se aapko koi bhi mobile number ki location aur network provider ki details mil jayegi. Iske liye simply website pe visit kare. Visit karne k baad aapko ek box dikhega jaha aapko wo mobile number daalna hai jiska details aapko chahiye. No. dalne k baad simply search button pe click kare. Aapko us user ki location aur provider ki jankari mil jayegi.
But, sabse behtar results k liye Truecaller ka hi istemal kare. Kyuki isse aapko user ka name bhi pata chal jayega.
Post se related koi sawal ho to niche comment jarur kare.
Ye jaruri posts bhi parhe –
- Kya youtube ki madat se paise kamaya ja sakta hai
- Mobile se free video call kare
- Koi bhi android phone ka lock khole
Calls details