Desitechblog :: internet and blogging tips in Hindi

Top Menu

  • Home
  • Internet tips
  • Blogging and website
  • Best android apps
  • Smartphone Tips
  • Computer tips
  • Facebook
  • Whatsapp tips

Main Menu

  • Home
  • Online earning tips
  • About us
  • Contact
  • Privacy policy
  • Home
  • Internet tips
  • Blogging and website
  • Best android apps
  • Smartphone Tips
  • Computer tips
  • Facebook
  • Whatsapp tips

logo

  • Home
  • Online earning tips
  • About us
  • Contact
  • Privacy policy
Blogging and website
Home›Blogging and website›WordPress blog ki loading speed kaise badaye ? blog fast kare

WordPress blog ki loading speed kaise badaye ? blog fast kare

By Bunty
November 21, 2016
531
0
Share:

Bohot se tricks aur tips post karne k baad me aaj blogging aur websites k upar post likh raha hun. Blog ki loading speed aur search engines ka bohot hi najdiki sambandh he. Agar aapki WordPress website ya blog slow hai aur load hone me bohot tym leti he to apko visitors nahi milne wale. Kyuki, Google search slow blogs pe dhyan nahi deta. Aur humare blogs ya websites ki 90% visitors Google search se hi ate hai.

 

blog ki loading speed

Website slow hai ? fast kaise kare

 

Ye bhi parhe – Apne blog ko successful banane ka tarika

 

Iska karan hai, Google hamesha hume best content aur perfect results dena chahta hai. Take hume koi pareshani na ho aur jo bhi janna chahte hai wo aram se jaan sake.

Jab hum kisi blog pe visit karte he to kya hota he. Hum chahte he k hume jaldi se apni jankari hasil ho sake. Lekin, agar wo blog load hone me hi 7 se 10 seconds le to kise atcha lagega. Content atcha ho bhi to koi faida nahi, kyuki page load hone se pehle hi log gussa hoke chale jate he.

Isse aapki page views bhi kam hoti hai aur Google search pe bhi bura asar hota he. Iska sidha matlab ye he k aapko google se jyada visits yane traffic nahi milti. Kyuki, slow websites ko ye rank nahi karna chahta.

Mere bohot se dost the jinke blogs WordPress pe he. Wo daily atche aur fresh contents likhte he. Lekin website pe traffic low ati thi. Iska sidha karan tha page ki loading speed slow hona. Unhe ye pata hi nahi tha k agar page load hone me jyada time le to wo page search results pe bhi piche ho jati he.

But, ab unhe iss baat ki jankari he aur unki pages bhi fast load hoti he. So, Agar aap bhi apne slow WordPress blog ka speed barana chahte hai to niche iska samadhan parhe.

 

Also read – SEO ka istemal kaise kare aur traffic badaye

WordPress blog ki loading speed baraye

Meri website bhi pehle slow thi aur iske liye me bhi bohot pareshan tha. Lekin aab mujhe bohot comments milte he k ye bohot fast he. But, ye khud hi nahi fast ho gaya. Iske liye maine bhi bohot mehnat ki he aur kuch chizo ka dhyan rakkha he.

Agar aap bhi kuch chizo ka dhyan rakkhe aur thore plugins istemal kare to aapki WordPress website bhi bohot fast ho jayegi.


Atche Hosting ka chunaw kare 

Dekhiye friends, mujhe ye pata he k aap ye baat bohot sun chuke he. Lekin ye sabse jaruri chiz he. Aajkal bohot se hosting company aa gaye he jo saste daam pe aapko hosting deti he. Lekin ye galati na kare. Saste k chakkar pe na pare. Atchi managed hosting se hi aap blog ko fast karne ka pehla kadam le sakte he.

Me Hostgator ki hosting use karta hun. Mere hisab se ye best he. Kyuki, isse mujhe kabhi bhi koi server problem ya technical issues nahi face karne pare. Sabse atchi jo baat he hostgator.in ki wo hai iski service. Mujhe kabhi bhi koi problem hoti he to me service team ko call karta hun. Wo kuch hi samai ame meri problem solve kar dete hai.

Jo bhi ho agar blog/website ki speed barani hai to atchi hosting ka chunaw jarur kare. Kuch best hosting company k name he – Hostgator.in, Bluehost, DreamHost.

Blog (website) display ko optimize kare

SEO friendly theme ka chunaw

Mujhe pata he k apko stylish themes bohot pasand he. Lekin jyada styles se kya faida agar aapke website pe visits hi na ho. Blogs k success k liye seo friendly themes ka chunaw jaruri he. Jyadatar themes jo fast load karta ho wo simple hote he. Simple ka matlab jinme jyada css styles, colors aur special affects maujud na ho.

To jabbhi website ya blog k liye theme chune wo seo friendly aur simple hi chune. Aap Google pe themes search bhi kar sakte he. Sabse pehle konse fast free templates he unhe dhunde aur apne WordPress website k liye chune.


Home page yane recent post page

Hum sabhi k blog me ek recent post page hota he. Ise hum home page bhi kehte he. Iss page pe humari sabhi latest posts display hoti he. Inse visitors ko ye faida hota he k wo jaan pate he k aapne recently kya post kia he apne blog me. Ye sabhi blogs pe hote he chahe wo wordpress ho ya blogger.

Lekin kya aapko pata he k iska ek bura asar bhi he. Ghabraye mat, ye apke seo ya kisi aur chiz ko nuksaan nahi phchata. Lekin, apke blog ki loading speed slow kar sakta he. Isiliye website k home page pe sirf 5 se 6 recent posts display kare. Wese ye page lagbhag 10 posts dikhata he. Isko aap 6 se 7 tak kare to website ki speed thori jarur barhegi.

WordPress Plugin ka istemal kare

Dosto, hum sabhi jante he k blog ya website banane k liye wordpress best he. Kyuki ispe hum best aur perfect blog bana sakte he. Iski sabse atchi baat he k hum hazaro plugins ka istemal karke blog ko seo friendly aur fast bana sakte he.

Mene bhi apne blog pe kuch plugins ka istemal kiya he jisse meri blog fast ho gayi he. Niche mene sabhi plugins k bareme likha he jinse hum website ko fast kar sakte he.


Caching plugin ka istemal

WordPress plugins mese jyadatar kaam ki hoti he. Lekin, kuch hi he jinhe hum sabse jyada jaruri samajh te he aur jo blog me honi hi chahiye. In jaruri plugins mese chaching plugins sabse upar hai. Kyuki, ye wo he joaapke blog ko fast aur speedy banate he. Jo sabse baria baat he wo hai ye sabhi free me aapko milti he apne add new plugin section pe.

Agar aapko bhi blog fast barani hai to sabse pehle W3 Total cache plugin ko install kare. Ye aapke website k performence ko behtar banata hai. Me aapko caching k liye sirf ise hi use karne k liye kahunga. Kyuki, isme A to Z sabhi chize maujud he jinse hum slow website k load time ko kam kar sakte he.

Simply apne wordpress plugin section se W3 Total Cache  ko install kare aur active kare. Iske baad apki site ki website loading speed jarur behtar hogi.


Images ko optimize kare

Hum apne blogs pe dhero posts likhte he aur post k dauran images bhi dete he. Lekin kya aapko pata he k images humare blog ko kuch had tak slow karta hai. Yes, aur isiliye hume apne blog post pe small aur compressed images istemal karna chahiye. Agar aap blogger pe images use karte he to apne computer pe images ko chota kar le. Chota karne k baad hi post pe images ko dale. Humesha kam size ki images use kare take page ki size jyada bari na ho.

Hum wordpress pe kuch plugins ka istemal kar sakte he jisse images automatically choti ho jaye. Me apne blog pe use karta hun WP Smush – Image optimization ka. Ye images ko upload hote samai hi chota kar deta he jisse pics ki size choti ho jati he.

Dhyan rakhiye ki images blog ko bohot had tak slow bana sakta he. Isiliye ispe dhyan de aur kaam kare.

Final words

Is post se aapne sikha k wordpress website ke loading time ko kaise kam kar sakte he jisse blog fast ho jaye. Dosto, agar aapki blog blogger pe hai to bhi in chizo ka dhayn rakkhe. Kyuki ye saab blog ki speed barane k liye bohot jaruri hai.

 

  • Images ko chota aur compressed kare take jaldi load ho sake.
  • Atchi seo friendly theme chose kare take fast load ho.
  • Caching ka istemal kare. Ye blog ko fast karne me bohot faidemant he.
  • Home page pe 5 se 6 recent post hi dikhaye.
  • Blog ko hamesha halka rakkhe aur jyada plugins ka istemal na kare.

In chizo ko follow kare to apki site jarur fast load hogi.

 

Ye posts bhi parhe –

  • GRAPPR app se free recharge kare
  • Blogger blog ke sabhi settings k bareme jane
  • Blogger par free blog banana hai ?

 

Save

0
Shares
  • 0
  • +
  • 0

Bunty

Rahul Das (Bunty) is the founder of www.desitechblog.in. The blog has been designed and maintained by him. He has created this tech site/blog for those who wants to learn new things in Hindi. So, keep visiting and learning.

Related articles More from author

  • seo kaise kare
    Blogging and website

    Seo kaise kare ? blog par seo friendly post kaise likhe.

    August 16, 2016
    By Bunty
  • godady se domain add kare
    Blogging and website

    Apne blogger blog pe custom domain kaise add kare ? janiye Hindi me

    September 9, 2016
    By Bunty
  • blogging karne ke kharche
    Blogging and website

    Blog par kitna kharcha hota hai ? Kya free me blog banaya ja sakta hai

    May 18, 2017
    By Bunty
  • Acha hosting kaise kharide
    Blogging and website

    Blog k liye sabse acha web hosting kaise & kahase kharide ?

    September 11, 2017
    By Bunty
  • blog ko successful kaise banaye
    Blogging and website

    Blog ko successful kaise banaye ? jaldi traffic badane k Hindi tips

    September 14, 2016
    By Bunty
  • YouTube se kitna paisa milega
    Blogging and website

    YouTube se kitna paisa kamai kar sakte hai ? (1000 views par kitna milega)

    June 23, 2018
    By Bunty

Leave a reply Cancel reply

Follow Us Socially

  • 41
    Followers
  • Likes

Timeline

  • January 27, 2019

    फेसबुक का पासवर्ड भूल गया तो रिसेट या चेंज कैसे करे ? (password reset)

  • December 23, 2018

    जादू कैसे सीखे ? ख़रीदे 5 जादू सिखने की किताब ऑनलाइन (2019 नई किताबे)

  • December 3, 2018

    Mobile me processor kya hota hai ? konsa processor best hai

  • September 21, 2018

    PUBG mobile kya hai ? PUBG game kaise khelte hai

  • September 18, 2018

    Jio sim/mobile se free me live tv kaise chalaye ? (All tv channels)

Categories

Subscribe kare

Apna email ID dale aur latest post alert paye mobile par

About us

  • RAHUL DAS (WWW.DESITECHBLOG.IN)
  • [email protected]

Follow us

  • Home
  • Online earning tips
  • About us
  • Contact
  • Privacy policy
© Copyright (DesitechBlog) 2018. All rights reserved.