Desitechblog :: internet and blogging tips in Hindi

Top Menu

  • Home
  • Internet tips
  • Blogging and website
  • Best android apps
  • Smartphone Tips
  • Computer tips
  • Facebook
  • Whatsapp tips

Main Menu

  • Home
  • Online earning tips
  • About us
  • Contact
  • Privacy policy
  • Home
  • Internet tips
  • Blogging and website
  • Best android apps
  • Smartphone Tips
  • Computer tips
  • Facebook
  • Whatsapp tips

logo

  • Home
  • Online earning tips
  • About us
  • Contact
  • Privacy policy
Online earning tips
Home›Online earning tips›Ghar baithe online dollar kamane ka tarika jane (100$-200$ per month)

Ghar baithe online dollar kamane ka tarika jane (100$-200$ per month)

By Bunty
April 3, 2018
88
0
Share:
Dollar kamane ka tarika

Dosto, ghar baithe online dollar kamane ka tarika wese bohot se hai. Internet par bohot se tarike maujud he jinme jyada mehnat lagti hai but income bohot hi low hoti he. For example, image selling, freelancing, online typing jobs, captcha typing jobs etc. But, ese bhi kuch tarike hai jinke istemal se aap per month easily 100$ se 200$ ya usse bhi jayada paise dollar me kama sakte hai. Aur, ye sirf bolne ki hi baat nahi. Aaj hazaro log internet aur online technology ki madat se ghar baithe inn tariko ka istemal kar hazaro dollar kama rahe hai. Aur, aapko bolke mujhe bhi acha lagega k me bhi har month lagbhag 100 dollar plus kamai karta hun jiska proof me niche dunga.

Dollar kamane ka tarika

Best ways to earn money in dollars from internet..!

So, agar aap seriously dollar me paise kamana chahte hai, to aapko internet ki madat leni paregi. Internet par aapko iske liye bohot se bharosemant tarike mil jayenge. Aur, me ye bhi bata dun, internet par aapko ese bohot tarike milenge jo aapka sirf samai hi kharab karega. Yane, aapka samai bhi kharab hoga aur aapko earning bhi nahi hogi. So, ese tariko se bache jo sirf aapko online income ka lalach dega but asal me aapko koi faida nahi hoga.

Also read >>

  • Android mobile se paise kaise kamaye ?
  • Ghar baithe typing job karne ke 5 online tarike
  • Facebook page se paise kaise kamaye
  • Internet se paise kamane ke 5 tarike

Dollar kamane ka tarika wese bohot assan hai, agar aap sahi tarike ka istemal kare to. So, me aapko 3 ese best aur working tariko ke bareme bataunga jinse aap na kewal paise kama sakte hai, balke apna khud ka online business bhi chala sakte hai.

Yes aapne sahi suna. Jo 3 tarike ke bareme me bataunga wo tarike aaj world me bohot famous hai. Specially, India me to aaj hazaro log in tariko ka istemal kar aaram ki jindagi ji rahe hai. In tariko se paise kamane k sath sath wo apna online business bhi chala rahe hai. Aur, isse wo sabhi regular income earn kar pa rahe hai aur wo bhi dollar me.

So, kya he wo 3 tarike jinse online easily dollar kamaye ja sakte hai..?

Dollar me earn karne ka ye 3 tarika hai, “Blogging“, “YouTube channel” aur “Android app“. But dollar kamane k liye in sabhi tariko me ek chiz common hai. Wo hai, “Google Adsense“. Niche me aapko in sabhi chizo ke bareme detailed me bataunga.

Ghar baithe online dollar kamane ka tarika kya hai ? (Mera apna secret)

So, jesa k mene upar aapko kaha hi he, online internet se earning ka 3 hi best aur trusted tarika hai. Ye he, Blogging, YouTube channel business aur Android app. Wese, mene hal hi me YouTube channel ka business start kiya hai. So, isse me ab tak income nahi kar paya hun. But, blogging me 2 years se kar raha hun aur me har month 100$ ka income aasani se kar leta hun. Proof ke liye aap niche diye image ko dekh sakte hai. Yaha mene apni last month ki earning share ki hai.

Adsense earning proof

Google adsense last month earning report..!

So, jesa ke aap upar image par dekh sakte hai, mera last month ka earning hai 166.63 dollars aur lst moth ke pehle mujhe payment mili thi 140$. Aap chahe to isse bhi jyada paise har month kama sakte hai but aapko sahi tarika aur thora mehnat karne ki jarurat paregi.

Aap ise, part-time business ya full time business ke hisab se bhi start kar sakte hai. Dhire dhire jab aap chizo ko samajh jaoge tab aap ek se jyada tariko ka istemal kar jyada se jyada earning kar sakte hai. Yane, pehle ek blog banaye aur jab aapko blogging me success mil jaye tab YouTube channel business bhi start kare.

Note: online earning ke jo tarike mene bataye hai, ye sabhi Google Adsense ke jariye aapko paise kamane ka moka dega. Google adsense Google ka hi ek advertisement network hai. Aur, isiliye ye sabse jyada trusted aur faidemant tarika hai apne blog, YouTube channel ya Android app se paise kamane ka. Iske jariye aap apne blog, YouTube videos ya app par live ads lagakar dollar me income kar sakte hai.

Must read >>

  • Google adsense account kaise banaye ?
  • Adsense par ads kaise banate hai ?
  • Janiye Google Adense kaise use kare

Chaliye ab hum niche, blogging, YouTube channel aur android app se dollar kamane ka tarika step  by step niche jaan le.

1. Blogging se dollars kaise kamaye ?

Blogging se dollars yane paise kamane ka sabse aasan tarika hai, apne blog par ads lagakar. Jesa ke mene upar bataya tha, Google adsense par apne blog ko register kar aap adsense ke ads apne blog ke har page par laga sakte hai. Isse, jabbhi koi aapke blog par visit karega, unhe adsense ke taraf se kuch advertisements dikhenge. Ye ads, link ads, video ads ya image ads ho sakte hai.

So, agar aapke blog par dikh rahe ads ko koi blog visitor click kar de tab aapko apne Adsense account par kuch paise milte hai. Har ad click par aapko alag alag amount ke paise milte hai ad ke quality ke upar. Esehi jabbhi aapke adsense account par 100$ pure ho jate hai, aapko aapke bank account par dollar ke rate par kamaye huwe paise ko convert kar payment kar diya jata hai. Hai na simple aur fast tarika internet se dollar kamane ka.

But, kya blogging se earning ka ye tarika itna jyada easy hai..? Ji nahi.

Apne blog se kamai aap tabhi shuru kar sakte hai jab aap step by step sare process ko prura kar lete ho. Yane, blog banane se lekar usme articles likhne tak. Aur, apne blog par jyada se jyada visitors lane se lekar paise kamane tak sare process. Jitna jyada log aapke blog par aayenge utna jyada ads logo ko dikhenge aur utna hi jyada paise aap kamayenge. Blog par jyada visitor (traffic) lane k liye aap Google search engine ki madat le. Aapko bohot kuch karna hota hai jo aap dhire dhire sikh jayenge. 

Blogging internet se earning ka aaj ek bohot trusted tarika ban chuka hai. Aaj har dusre din koi na koi blog start kar raha hai online paise kamane ke apne sapne ko pura karne ke liye. Aur, aapko sunkar acha lagega ke yaha log success bhi ho rahe hai. So, agar aap bhi blogging se online income karna chahte hai, to niche diye links par jaye aur blogging se jure sare articles ko padhe.

Also read >>

  • Blog kya hai aur kaise banaye 
  • Blogger pe blog banakar paise kaise kamaye ?
  • Apne blog par google traffic kaise badhaye ?
  • Blog par kitna kharcha hota hai
  • Apne blog ko successful kaise banaye 

Upar diye links par jakar sare article ko padhe. Isse, aapko blog banane se lekar blog se paise kamane ka tarika tak sab kuch samajh aa jayega.

2.  YouTube channel banakar kamaye

Internet se online paise kamane ka aur ek trusted aur faidemant tarika hai YouTube channel. Ji han, YouTube channel banakar aaj hazaro log har month 200$ se jyada paise kama rahe hai. Starting me aapko thora mehnat karna hota hai. But, jab dhire dhire aap chijo ko samajh ne lagte ho aapki income bhi badne lagti hai.

YouTube channel se kamai aaj sirf ghar baithe hi nahi hota. Aaj log YouTube business ko ek career ki tarah dekhte hai. Aur, ye bilkul sach baat he k bohot se log apna ek office banakar usme YouTube business ko chala rahe hai aur dollar me paise kama rahe hai.

So, agar aap bhi YouTube par channel banakar kamai karna chahte hai, to aapko kuch steps ko pura karna hoga. 

Sabse pehle to aapko, YouTube ke official website par jana hoga. Iskebaad, aapko ek free YouTube channel banana hoga jise aap aasani se bana sakte hai. Channel bana lene k baad aapko uspar regular quality videos upload karne hote hai. Aap, videos ko apne mobile se hi record kar mobile se hi YouTube par upload kar sakte hai. Dhyan rakhe aapko original videos banana hoga. Aap, kisi dusre ka banaya huwa video apne channel par nahi daal sakte hai.

Esehi, regular videos upload karne se aapke videos par dhire dhire views badhne lagenge. Ye views Google search aur YouTube search se aapke videos ko milte hai jo ke bilkul free he. Yane, YouTube aur Google search par kiye huwe search ke jariye log aapke videos tak pohochte hai aur aapke banaye huwe videos ko dekhte hai.

Ab, jab aapke upload kiye huwe videos par views aane lagenge tab aap apne channel se paise kamana shuru kar sakte hai. YouTube video se paise kamane ke is tarike ko “Monetization” kehte hai. Aur, ye monetization option aapke YouTube dashboard par aapko mil jate hai. Videos ko monetize kar paise kamane ke liye aapko pehle , apne YouTube dashboard se monetization option ko enable karna hota hai.

Isse, aapke upload kiye huwe videos par “Google adsense” ki taraf se kuch ads display hote hai. Jabbhi, koi aapke videos ko dekhega use video start hone se pehle kuch ads dikhenge. Aur, inhi dikhaye huwe ads ke badle aapko Google adsense dollar me paise deta hai. He na simple aur easy tarika dollar kamane ka..?

YouTube se ghar baithe online paise kaise kamaye, iske bareme jyada jaankari ke liye niche diye links par jaye aur articles ko padhe.

Must read >>

  • YouTube se paise kaise kamaye ?
  • YouTube ya blogging kya hai paise kamane ka aasan tarika
  • Apne YouTube videos ko monetize kaise kare
  • Apna YouTube channel kaise banaye
  • YouTube par video upload kaise kare

Finally, aap upar diye articles ko padhke YouTube se dollar kamane ka tarika detailed me jaan sakte hai. Articles ko padhne k baad, aap apna khudka channel banaye aur slowly tseps ko pura kare. Take, aap dhire dhire chizo ko samjhe aur aage badhe.

3. Android app banakar dollar kamaye

Ji han, aap bari aasani se apna ek Android app banakar usse paise kama sakte hai. Android app banane ke liye aapko internet par bohot se free websites mil jate hai. Aap, inhi Android app maker websites par jakar apna khudka app bana sakte hai. Kuch free app maker websites hai – Appypie app maker, Appsgeyser app builder etc. But, sawal ye hai k, “Android app se paise kaise kamate hai”..? Iska sahi tarika kya hai ?

Iska jawab simple hai. Jese mene upar aapko blogging aur YouTube channel se earning ka tarika bataya tha, wese hi aap apne Android app se bhi paise kama sakte hai. 

Yane, aap apne android app par ads lagakar paise kama sakte hai. Apne Android app par ads lagane k liye aap google ka product “Admob” ka istemal kar sakte hai. Ye Google ka esa ek advertisement network he jo sabhi app owners ko apne app par ads lagakar paise kamane ka moka deta hai.

So, aapko pehle apne liye ek free Android app banana hoga. Iske baad aap apne app ko Google ke admob par register kare. Isse, aap apne app par advertisements display kar sakenge. 

Now, aapke app ko use karne k liye aur app par maujud ads ko show karane k liye aapko app installs ki jarurat hogi. Yane, jabbhi koi aapka app install karega tabhi use aapke app par maujud advertisements dikhenge aur aapko paise kamane ka moka milega. Aur, iske liye aapke app ko logo ko install karna hoga. 

But, ghabrayye mat. Iske liye bhi ek solution hai. Jese, websites ke liye Google search aur videos ke liye YouTube search hai, wese hi Android apps ke liye “Google play store” maujud hai. Aapko, simply apne application ko Google Play Store par add karna hoga. Isse, jabbhi log playstore pe aapke app se related kuch search karenge unhe aapka app result page par dikhega. Aur, isse log aapke Android app ko install karne lagenge aur apne mobile par use karenge. 

Finally, esa karne par app users ko aapke app par maujud ads bhi dikhenge. Aur, jabbhi koi user display huwe ads ko click karega aapko apne Admob account par paise milenge. Isi tarah, jitne log aapke app ko mobile par use karenge utne hi jyada ads logo ko dikhenge aur jyada se jyada ad clicks honge jisse aap jyada se jyada paise bana sakenge.

Blogging aur YouTube ke baad Android app banakar dollar kamane ka ye tarika bohot famous hai. Aaj, bohot se log apna app banakar uspar ads display karakar dollar me kamai kar rahe hai.

 

Final words on the topic,

Finally, mene aapko 3 best aur trusted tarike ke bareme bataya hai jinse aap ghar baithe online dollar me paise kama sakte hai. Ye sabhi ese tarike he jinko agar aap sahi tarike se shuru kare, to aapko koi aur job ya business karne ki koi jarurat nahi paregi. Aap inhi tariko ko apna full time business banakar hazaro dollar per month kama sakte hai. Aaj, bohot se log kama bhi rahe hai.

But, ye dhyan rakhe k inn tariko se aap rato raat paise nahi kama sakte. Aapko dhire dhire aage barna hoga. Jab aap sare chizo ko samajh jayenge aur jab aapka blog, YouTube channel ya Android app paise kamane k layak ho jayega sirf tabhi aap paiso ke bareme soche. Isse, pehle sirf kaam ko sikhe aur mehnat kare. Aapko success jarur milegi.

Wese, online dollar kamane ka aur bhi bohot se tarike hai. For example, captcha typing jobs, online data entry jobs, image selling, freelancing etc. Lekin, ye sare tarike mere hisab se koi kaam ke nahi. Ye sirf aapka samai kharab karega aur aap kuch bhi nahi sikh paoge. Aur, isiliye mene apne iss post par inn tariko ke bareme kuch bhi nahi likha hai.

So, agar aapko post acha lage to share jarur kijiyega. Post se related koi sawal ya sujhaw ho to hume niche comment jarur se kare.

 

0
Shares
  • 0
  • +
  • 0

Bunty

Rahul Das (Bunty) is the founder of www.desitechblog.in. The blog has been designed and maintained by him. He has created this tech site/blog for those who wants to learn new things in Hindi. So, keep visiting and learning.

Related articles More from author

  • Internet se paise kamana
    Online earning tips

    YouTube ya blogging ? kya hai internet se paise kamane ka aasan tarika

    November 21, 2017
    By Bunty
  • paytm se paise kaise kamaye
    Online earning tips

    Paytm se paise kaise kamaye in 4 Android apps ki madat se

    February 15, 2017
    By Bunty
  • Facebook page se paise
    Online earning tips

    Facebook page se paise kaise kamaye :: 5 earning tips

    November 30, 2017
    By Bunty
  • ye
    Online earning tips

    YouTube se paise kaise kamaye sikhiye sabse asan tarika Hindi me

    October 15, 2016
    By Bunty
  • Online earning tips

    Online paisa kamao ghar baithe captcha typing job se

    October 27, 2016
    By Bunty
  • Ghar baithe typing job
    Online earning tips

    Ghar baithe typing job karne ke 5 online tarike: Earn from typing

    February 18, 2018
    By Bunty

Leave a reply Cancel reply

Follow Us Socially

  • 34
    Followers
  • 82
    Likes

Timeline

  • April 8, 2018

    IRCTC account kaise banaye ? Account registration step by step

  • April 3, 2018

    Ghar baithe online dollar kamane ka tarika jane (100$-200$ per month)

  • March 28, 2018

    Mobile me resume banane ka 5 best apps ( Latest Resume apps )

  • March 25, 2018

    Redmi mI ka sabse sasta mobile phone under 10k (Best mI phones)

  • March 19, 2018

    Sim kiske naam par registered hai kaise pata kare ? (3 fast tarika)

Categories

Subscribe kare

Apna email ID dale aur latest post alert paye mobile par

About us

  • RAHUL DAS (WWW.DESITECHBLOG.IN)
  • [email protected]

Follow us

  • Home
  • Online earning tips
  • About us
  • Contact
  • Privacy policy
© Copyright (DesitechBlog) 2018. All rights reserved.